Surah Fatiha
Arabic Text
With Roman Hindi
Translation
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

Shuru karta hun Allah ke naam se jo bada meharban aur nihayeh raham wala hai. (1)

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

Tamam Tarifien Us aalah ke liye hai jo sare jahan ka palne wala hai. (2)

الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

Jo Bahut meharbaan aur nihayet rahm wala hai (3)

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ

Jo badle  ke din ka milik hai.(is se murad Qayamat ka din hai jis me har aadmi ko us ke kaam ka badla dia jaye ga) (4)

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ

Ai Allah hum teri hi ebadat karte hain, aur sirf tujhi se madad mangte hain. (yani ibadat me kisi aur ko sharik nahi karte, aur har kaam me bas tujh se hi madad mangte hain, aur sirf tujh par hi bharosa karte hain) (5)

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ

Ai allah tu hum ko seedha rasta dikha. (yani din ka rasta). (6)

صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ

Un logo ka rfasta jin par tu ne inaam kiya hai,

 غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ

 Jin par na tera Ghazab nazil hua, aur na hi wah log gumraah huye. (7)

Explaination: Sure Fatiha me Total 7 aayeten hain, pahli 3 aayaat me allah tala ki hamd o sana hai, aur aakhir ki 3 aayton me insan ki taraf se dua aur darkhas ka mazmoon hai, jo allah tala ne apni rahmat se khud hi insan ko sikhaya hai, beech ki ek aayat hamd o sana yani allah ki tariff aur dua aur darkhast ki cheez hai. .
أحدث أقدم